SMSJOKES

SMS Jokes & Text Messages

Ghazal SMS

Main sun k uski sub batain

Main sun k uski sub batain, Faqat itna hi kehta tha, Khafa hona mana laina, Yeh sadiyon say riwayat hay, Gilay shikway karo mujh say, Tumhain janan ijazat hay, Magar ik baat meri bhi, Tum yaad rakh laina, Kabhi aisa bhi hota hay, Hawa’ain rukh badalti hain, Khata’ain ho hi jati hain, Khafa hona bhi mumkin hay, Khata hona bhi mumkin hay, Hamaisha yaad rakhna tum, Ta’aluq toot janay say, Kabhi toota nahin kertay…!
 

Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin

Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin zindagi meri ibadat k siwa kuch bhi nahin Mein teri baat bargah-e-naaz mein kia paish keron Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin Aey khuda mujh say na lay meray gunahon ka hisab Meray paas ashk-e-nidamat k siwa kuch bhi nahin Woh tou mit ker mujhey mil hi gayai rahat werna Zindagi ranj-o-musibat k siva kuch bhi nahin
 

Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k

Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k Khud bhi roya woh bohut hum say kinara ker k Sochta rehta hon tanhai mein Anjam-e-Khuloos Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobarah ker k Jagmaga di hain teray shehar ki galiyan mein nay Apnay her ashk ko palkon pay sitara ker kay Daikh laitay hain chalo hosla apnay dil ka Aur kuch rooz teray sath guzara ker k Aik hi shehar mein rehna magar milna nahin Daikhtay hain yeh aziat gawara ker k
 

Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu

Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar Har pal har jagah nazar aane laga hai tu Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu Har pal mujhe hota hai bas tera hi “Ehsaas” Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey Chorr k duniya meri baNhooN mein samaane laga hai tu Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu Kya is baat ka tujhey “Ehsaas” hai “Jaan” Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu
 

Jo na mil saka wo baywafa

Jo na mil saka wo baywafa yeh bare ajeeb si baat hai jo chala gaya mujhay chor kar wohi aaj tak mere saath hai… Wo roshni kay khayal main wo na asaka raah mian muntazir yeh khalish kahan thi visaal main mere justojoo ko khabar nahi na wo din rahay na wo raat rahay jo chala gaya mujhay chor kar wohi aaj tak mere saath hai.. Kary pyar lab pay koi gila na hoo yeh kissi kissi ka naseeb hai yeh karam hai uski jafa nahi wo juda bhi rehkay qareeb hai wo aankh hai mere ru baru ussi haath mein mera haath hai jo chala gaya mujhay chor kar wohi aaj tak mere saath hai mera nam tak jo na lay saka jo mujhay qarar na day saka jissay ikhtiyaar tau tha magar mujhay apna pyar na day saka wohi shakhs mere talassh hai wohi dard mere hayaat hai jo chala gaya mujhay chor kar wohi aaj tak meray saath ha
 
Page 29 of 41

Latest SMS

Feed

Subscribe for daily SMS in your Mail Box

Enter your email address: