Huda Fatima
Muharram SMS In Honour Of Hazrat Hussain
PAIDA NA HOGAA TALIBE BAIYAT BHI AB KOIYEE
VO KAM KAR GAIYEE HAI SHAHADAT HUSSAIN KI
AAWAAZ DE RAHI HAI YE TAREEKHE KARBALA
HAI ZALIMO KI MOUT SHAHADAT HUSSAIN KI
Khoon Se Charagh-e-deen jalaya Hussain ne,,
Rasm-e-Wafa ko khoob nibhaya Hussain ne..
Khud ko to ek boond bhi Pani na mil saka,,
Karb-O-Bala Ko khoon pilaya Hussain ne..
Aesi Namaz kaon parhega Jahan men?
Sajda kiya to Sar Na uthaya Hussain ne.!
Sab kuch Khuda ki raah men Qurban kar diya,
Asghar sa phool bhi na bachaya Hussain ne..